Us Raunat Se Wo Jite Hain Ki Marna Hi Nahin
us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin
taKHt par baiThe hain yun jaise utarna hi nahin
yun mah-o-anjum ki wadi mein uDe phirte hain wo
KHak ke zarron pe jaise panw dharna hi nahin
un ka dawa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam
shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin
kya ilaj us ka agar ho muddaa un ka yahi
ehtimam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin
zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand
un pahaDon mein jahan par koi jharna hi nahin
dil bhi un ke hain siyah KHurak-e-zindan ki tarah
un se apna gham bayan ab hum ko karna hi nahin
intiha kar len sitam ki log abhi hain KHwab mein
jag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin
(2355) Peoples Rate This