Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_73fcc5d73f49150943ea9b0443351c86, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log

tu rang hai ghubar hain teri gali ke log

to phul hai sharar hain teri gali ke log

to raunaq-e-hayat hai to husn-e-kaenat

ujDa hua dayar hain teri gali ke log

tu paikar-e-wafa hai mujassam KHulus hai

badnam-e-rozgar hain teri gali ke log

raushan tere jamal se hain mehr-o-mah bhi

lekin nazar pe bar hain teri gali ke log

dekho jo ghaur se to zamin se bhi past hain

yun aasman-shikar hain teri gali ke log

phir ja raha hun tere tabassum ko luT kar

har-chand hoshiyar hain teri gali ke log

kho jaenge sahar ke ujalon mein aaKHirash

shama sar-e-mazar hain teri gali ke log

(2148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log In English By Famous Poet Habib Jalib. Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log is written by Habib Jalib. Read famous Poem Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Tu Rang Hai Ghubar Hain Teri Gali Ke Log in PDF.