Tere Mathe Pe Jab Tak Bal Raha Hai
tere mathe pe jab tak bal raha hai
ujala aankh se ojhal raha hai
samate kya nazar mein chand tare
tasawwur mein tera aanchal raha hai
teri shan-e-taghaful ko KHabar kya
koi tere liye be-kal raha hai
shikayat hai gham-e-dauran ko mujh se
ki dil mein kyun tera gham pal raha hai
tajjub hai sitam ki aandhiyon mein
charagh-e-dil abhi tak jal raha hai
lahu roengi maghrib ki fazaen
baDi tezi se suraj Dhal raha hai
zamana thak gaya 'jalib' hi tanha
wafa ke raste par chal raha hai
(2072) Peoples Rate This