Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada Us Gali Mein Chal
phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal
shayad mile ghazal ka pata us gali mein chal
kab se nahin hua hai koi sher kaam ka
ye sher ki nahin hai faza us gali mein chal
wo baam o dar wo log wo ruswaiyon ke zaKHm
hain sab ke sab aziz juda us gali mein chal
us phul ke baghair bahut ji udas hai
mujh ko bhi sath le ke saba us gali mein chal
duniya to chahti hai yunhi fasle rahen
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal
be-nur o be-asar hai yahan ki sada-e-saz
tha us sukut mein bhi maza us gali mein chal
'jalib' pukarti hain wo shola-nawaiyan
ye sard rut ye sard hawa us gali mein chal
(2047) Peoples Rate This