Na Dagmagae Kabhi Hum Wafa Ke Raste Mein
na Dagmagae kabhi hum wafa ke raste mein
charagh hum ne jalae hawa ke raste mein
kise lagae gale aur kahan kahan Thahre
hazar ghuncha-o-gul hain saba ke raste mein
KHuda ka nam koi le to chaunk uThte hain
mile hain hum ko wo rahbar KHuda ke raste mein
kahin salasil-e-tasbih aur kahin zunnar
bichhe hain dam bahut muddaa ke raste mein
abhi wo manzil-e-fikr-o-nazar nahin aai
hai aadmi abhi jurm o saza ke raste mein
hain aaj bhi wahi dar-o-rasan wahi zindan
har ek nigah-e-rumuz-ashna ke raste mein
ye nafraton ki fasilen jahaalaton ke hisar
na rah sakenge hamari sada ke raste mein
miTa sake na koi sail-e-inqalab jinhen
wo naqsh chhoDe hain hum ne wafa ke raste mein
zamana ek sa 'jalib' sada nahin rahta
chalenge hum bhi kabhi sar uTha ke raste mein
(2457) Peoples Rate This