Mir-o-ghaalib Bane Yagana Bane
'mir'-o-'ghaalib' bane 'yagana' bane
aadmi ai KHuda KHuda na bane
maut ki dastaras mein kab se hain
zindagi ka koi bahana bane
apna shayad yahi tha jurm ai dost
ba-wafa ban ke be-wafa na bane
hum pe ek e'tiraaz ye bhi hai
be-nawa ho ke be-nawa na bane
ye bhi apna qusur kya kam hai
kisi qatil ke ham-nawa na bane
kya gila sang-dil zamane ka
aashna hi jab aashna na bane
chhoD kar us gali ko ai 'jalib'
ek haqiqat se hum fasana bane
(2127) Peoples Rate This