Mahtab-sifat Log Yahan KHak-basar Hain
mahtab-sifat log yahan KHak-basar hain
hum mahw-e-tamasha-e-sar-e-rah-guzar hain
hasrat si barasti hai dar-o-baam pe har su
roti hui galiyan hain sisakte hue ghar hain
aae the yahan jin ke tasawwur ke sahaare
wo chand wo suraj wo shab-o-roz kidhar hain
soe ho ghani zulf ke sae mein abhi tak
ai rah-rawan kya yahi andaz-e-safar hain
wo log qadam jin ke liye kahkashan ne
wo log bhi ai ham-nafaso hum se bashar hain
bik jaen jo har shaKHs ke hathon sar-e-bazar
hum yusuf-e-kanan hain na hum lal-o-gohar hain
hum log milenge to mohabbat se milenge
hum nuzhat-e-mahtab hain hum nur-e-sahar hain
(1970) Peoples Rate This