Log Giton Ka Nagar Yaad Aaya
log giton ka nagar yaad aaya
aaj pardes mein ghar yaad aaya
jab chale aae chaman-zar se hum
iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya
teri begana-nigahi sar-e-sham
ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya
hum zamane ka sitam bhul gae
jab tera lutf-e-nazar yaad aaya
to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm
apne sheron ka asar yaad aaya
phir hua dard-e-tamanna bedar
phir dil-e-KHak-basar yaad aaya
hum jise bhul chuke the 'jalib'
phir wahi rahguzar yaad aaya
(1861) Peoples Rate This