Kam Purana Bahut Naya Tha Firaq
kam purana bahut naya tha firaq
ek ajab ramz-ashna tha firaq
dur wo kab hua nigahon se
dhaDkanon mein basa hua hai firaq
sham-e-gham ke sulagte sahra mein
ek umanDti hui ghaTa tha firaq
amn tha pyar tha mohabbat tha
rang tha nur tha nawa tha firaq
fasle nafraton ke miT jaen
pyar hi pyar sochta tha firaq
hum se ranj-o-alam ke maron ko
kis mohabbat se dekhta tha firaq
ishq insaniyat se tha us ko
har tassub se mawara tha firaq
(1826) Peoples Rate This