Kaise Kahen Ki Yaad-e-yar Raat Ja Chuki Bahut
kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut
raat bhi apne sath sath aansu baha chuki bahut
chand bhi hai thaka thaka tare bhi hain bujhe bujhe
tere milan ki aas phir dip jala chuki bahut
aane lagi hai ye sada dur nahin hai shahr-e-gul
duniya hamari rah mein kanTe bichha chuki bahut
khulne ko hai qafas ka dar pane ko hai sukun nazar
ai dil-e-zar sham-e-gham hum ko rula chuki bahut
apni qiyaadaton mein ab DhunDenge log manzilen
rahzanon ki rahbari rah dikha chuki bahut
(1847) Peoples Rate This