Jagne Walo Ta-ba-sahar KHamosh Raho

jagne walo ta-ba-sahar KHamosh raho

kal kya hoga kis ko KHabar KHamosh raho

kis ne sahar ke panw mein zanjiren Dalin

ho jaegi raat basar KHamosh raho

shayad chup rahne mein izzat rah jae

chup hi bhali ai ahl-e-nazar KHamosh raho

qadam qadam par pahre hain in rahon mein

dar-o-rasan ka hai ye nagar KHamosh raho

yun bhi kahan be-tabi-e-dil kam hoti hai

yun bhi kahan aaram magar KHamosh raho

sher ki baaten KHatm huin is aalam mein

kaisa 'josh' aur kis ka 'jigar' KHamosh raho

(2817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagne Walo Ta-ba-sahar KHamosh Raho In English By Famous Poet Habib Jalib. Jagne Walo Ta-ba-sahar KHamosh Raho is written by Habib Jalib. Read famous Poem Jagne Walo Ta-ba-sahar KHamosh Raho for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Jagne Walo Ta-ba-sahar KHamosh Raho in PDF.