Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai
jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai
shabnam meri aankhon mein wahin tair gai hai
jis ki sar-e-aflak baDi dhum machi hai
aashufta-sari hai meri aashufta-sari hai
apni to ujalon ko tarasti hain nigahen
suraj kahan nikla hai kahan subh hui hai
bichhDi hui rahon se jo guzre hain kabhi hum
har gam pe khoi hui ek yaad mili hai
ek umr sunaen to hikayat na ho puri
do rose mein hum par jo yahan bit gai hai
hansne pe na majbur karo log hansenge
haalat ki tafsir to chehre pe likhi hai
mil jaen kahin wo bhi to un ko bhi sunaen
'jalib' ye ghazal jin ke liye hum ne kahi hai
(1757) Peoples Rate This