Humne Suna Tha Sahn-e-chaman Mein Kaif Ke Baadal Chhae Hain
hum ne suna tha sahn-e-chaman mein kaif ke baadal chhae hain
hum bhi gae the ji bahlane ashk baha kar aae hain
phul khile to dil murjhae shama jale to jaan jale
ek tumhaara gham apna kar kitne gham apnae hain
ek sulagti yaad chamakta dard farozan tanhai
puchh na us ke shahr se hum kya kya saughaten lae hain
soe hue jo dard the dil mein aansu ban kar bah nikle
raat sitaron ki chhanw mein yaad wo kya kya aae hain
aae bhi suraj Dub gaya be-nur ufuq ke sagar mein
aaj bhi phul chaman mein tujh ko bin dekhe murjhae hain
ek qayamat ka sannaTa ek bala ki tariki
un galiyon se dur na hansta chand na raushan sae hain
pyar ki boli bol na 'jalib' is basti ke logon se
hum ne sukh ki kaliyan kho kar dukh ke kanTe pae hain
(1875) Peoples Rate This