Har-gam Par The Shams-o-qamar Us Dayar Mein
har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein
kitne hasin the sham-o-sahar us dayar mein
wo bagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zar
nashshon se khelti thi nazar us dayar mein
aasan tha safar ki har ek rahguzar par
milte the saya-dar shajar us dayar mein
har-chand thi wahan bhi KHizan ki udas dhup
dil par nahin tha gham ka asar us dayar mein
mahsus ho raha tha sitare hain gard-e-rah
hum the hazar KHak-basar us dayar mein
'jalib' yahan to baat gareban tak aa gai
rakhte the sirf chaak-jigar us dayar mein
(1602) Peoples Rate This