Ghazlen To Kahi Hain Kuchh Humne Un Se Na Kaha Ahwal To Kya
ghazlen to kahi hain kuchh hum ne un se na kaha ahwal to kya
kal misl-e-sitara ubhrenge hain aaj agar pamal to kya
jine ki dua dene wale ye raaz tujhe malum nahin
taKHliq ka ek lamha hai bahut be-kar jiye sau sal to kya
sikkon ke ewaz jo bik jae wo meri nazar mein husn nahin
ai sham-e-shabistan-e-daulat! tu hai jo pari-timsal to kya
har phul ke lab par nam mera charcha hai chaman mein aam mera
shohrat ki ye daulat kya kam hai gar pas nahin hai mal to kya
hum ne jo kiya mahsus kaha jo dard mila hans hans ke saha
bhulega na mustaqbil hum ko nalan hai jo hum se haal to kya
hum ahl-e-mohabbat pa lenge apne hi sahaare manzil ko
yaran-e-siyasat ne har-su phailae hain rangin jal to kya
duniya-e-adab mein ai 'jalib' apni bhi koi pahchan to ho
'iqbaal' ka rang uDane se tu ban bhi gaya 'iqbaal' to kya
(1673) Peoples Rate This