Ghar Ke Zindan Se Use Fursat Mile To Aae Bhi
ghar ke zindan se use fursat mile to aae bhi
jaan-faza baaton se aa ke mera dil bahlae bhi
lag ke zindan ki salaKHon se mujhe wo dekh le
koi ye paigham mera us talak pahunchae bhi
ek chehre ko tarasti hain nigahen subh o sham
zau-fishan KHurshid bhi hai chandni ke sae bhi
siskiyan leti hawaen phir rahi hain der se
aansuon ki rut mere ab gulistan se jae bhi
roz hansta hai salibon se udhar mah-e-munir
us ke pichhe kaun hai wo chhab mujhe dikhlae bhi
(1648) Peoples Rate This