Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin
'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne wala hai kahin
maut ye tera sitam bhulne wala hai kahin
hum se jis waqt ne wo shah-e-suKHan chhin liya
hum ko wo waqt-e-alam bhulne wala hai kahin
tere ashk aur bhi chamkaengi yaaden us ki
hum ko wo dida-e-nam bhulne wala hai kahin
kabhi zindan mein kabhi dur watan se ai dost
jo kiya us ne raqam bhulne wala hai kahin
aaKHiri bar use dekh na pae 'jalib'
ye muqaddar ka sitam bhulne wala hai kahin
(2052) Peoples Rate This