Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_34f702f38eef2964c724d06261708b05, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi

ek shaKHs ba-zamir mera yar 'mushafi'

meri tarah wafa ka parastar 'mushafi'

rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan

yaksar liye hue mera kirdar 'mushafi'

dete hain dad ghair ko kab ahl-e-lucknow

kab dad ka tha un se talabgar 'mushafi'

na-qadri-e-jahan se kai bar aa ke tang

ek umr sher se raha bezar 'mushafi'

darbar mein tha bar kahan us gharib ko

barson misal-e-'mir' phira KHwar 'mushafi'

main ne bhi us gali mein guzari hai ro ke umr

milta hai us gali mein kise pyar 'mushafi'

(1712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi In English By Famous Poet Habib Jalib. Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ek ShaKHs Ba-zamir Mera Yar Mushafi in PDF.