Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_caf1df32c28358985e9a78659ce29769, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai

dushmanon ne jo dushmani ki hai

doston ne bhi kya kami ki hai

KHamushi par hain log zer-e-itab

aur hum ne to baat bhi ki hai

mutmain hai zamir to apna

baat sari zamir hi ki hai

apni to dastan hai bas itni

gham uThae hain shaeri ki hai

ab nazar mein nahin hai ek hi phul

fikr hum ko kali kali ki hai

pa sakenge na umr bhar jis ko

justuju aaj bhi usi ki hai

jab mah-o-mahr bujh gae 'jalib'

hum ne ashkon se raushni ki hai

(1991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai In English By Famous Poet Habib Jalib. Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai is written by Habib Jalib. Read famous Poem Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai in PDF.