Dil-e-pur-shauq Ko Pahlu Mein Dabae Rakkha
dil-e-pur-shauq ko pahlu mein dabae rakkha
tujh se bhi hum ne tera pyar chhupae rakkha
chhoD is baat ko ai dost ki tujh se pahle
hum ne kis kis ko KHayalon mein basae rakkha
ghair mumkin thi zamane ke ghamon se fursat
phir bhi hum ne tera gham dil mein basae rakkha
phul ko phul na kahte so use kya kahte
kya hua ghair ne collar pe sajae rakkha
jaane kis haal mein hain kaun se shahron mein hain wo
zindagi apni jinhen hum ne banae rakkha
hae kya log the wo log pari-chehra log
hum ne jin ke liye duniya ko bhulae rakkha
ab milen bhi to na pahchan saken hum un ko
jin ko ek umr KHayalon mein basae rakkha
(2033) Peoples Rate This