Dayar-e-dagh-o-beKHud Shahr-e-dehli ChhoD Kar Tujhko
dayar-e-'dagh'-o-'beKHud' shahr-e-dehli chhoD kar tujh ko
na tha malum yun roega dil sham-o-sahar tujh ko
kahan milte hain duniya ko kahan milte hain duniya mein
hue the jo ata ahl-e-suKHan ahl-e-nazar tujh ko
tujhe markaz kaha jata tha duniya ki nigahon ka
mohabbat ki nazar se dekhte the sab nagar tujh ko
ba-qaul-e-'mir' auraq-e-musawwar the tere kuche
magar hae zamane ki lagi kaisi nazar tujh ko
na bhulega hamari dastan tu bhi qayamat tak
dilaenge hamari yaad tere rahguzar tujh ko
jo tere gham mein bahta hai wo aansu rashk-e-gauhar hai
samajhte hain mata-e-dida-o-dil dida-war tujh ko
main 'jalib'-dehlawi kahla nahin sakta zamane mein
magar samjha hai main ne aaj tak apna hi ghar tujh ko
(1512) Peoples Rate This