DaraKHt Sukh Gae Ruk Gae Nadi Nale
daraKHt sukh gae ruk gae nadi nale
ye kis nagar ko rawana hue hain ghar wale
kahaniyan jo sunate the ahd-e-rafta ki
nishan wo gardish-e-ayyam ne miTa Dale
main shahr shahr phira hun isi tamanna mein
kisi ko apna kahun koi mujh ko apna le
sada na de kisi mahtab ko andheron mein
laga na de ye zamana zaban par tale
koi kiran hai yahan to koi kiran hai wahan
dil o nigah ne kis darja rog hain pale
hamin pe un ki nazar hai hamin pe un ka karam
ye aur baat yahan aur bhi hain dil wale
kuchh aur tujh pe khulengi haqiqaten 'jalib'
jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le
(1786) Peoples Rate This