Chur Tha ZaKHmon Se Dil ZaKHmi Jigar Bhi Ho Gaya
chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya
us ko rote the ki suna ye nagar bhi ho gaya
log usi surat pareshan hain jidhar bhi dekhiye
aur wo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya
baam-o-dar par hai musallat aaj bhi sham-e-alam
yun to in galiyon se KHurshid-e-sahar bhi ho gaya
us sitamgar ki haqiqat hum pe zahir ho gai
KHatm KHush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya
(1924) Peoples Rate This