Apnon Ne Wo Ranj Diye Hain Begane Yaad Aate Hain
apnon ne wo ranj diye hain begane yaad aate hain
dekh ke us basti ki haalat virane yaad aate hain
us nagri mein qadam qadam pe sar ko jhukana paDta hai
us nagri mein qadam qadam par but-KHane yaad aate hain
aankhen pur-nam ho jati hain ghurbat ke sahraon mein
jab us rim-jhim ki wadi ke afsane yaad aate hain
aise aise dard mile hain nae dayaron mein hum ko
bichhDe hue kuchh log purane yarane yaad aate hain
jin ke karan aaj hamare haal pe duniya hasti hai
kitne zalim chehre jaane pahchane yaad aate hain
yun na luTi thi galiyon daulat apne ashkon ki
rote hain to hum ko apne gham-KHane yaad aate hain
koi to parcham le kar nikle apne gareban ka 'jalib'
chaaron jaanib sannaTa hai diwane yaad aate hain
(1871) Peoples Rate This