Ab Teri Zarurat Bhi Bahut Kam Hai Meri Jaan
ab teri zarurat bhi bahut kam hai meri jaan
ab shauq ka kuchh aur hi aalam hai meri jaan
ab tazkira-e-KHanda-e-gul bar hai ji par
jaan waqf-e-gham-e-giriya-e-shabnam hai meri jaan
ruKH par tere bikhri hui ye zulf-e-siyah-tab
taswir-e-pareshani-e-alam hai meri jaan
ye kya ki tujhe bhi hai zamane se shikayat
ye kya ki teri aankh bhi pur-nam hai meri jaan
hum sada-dilon par ye shab-e-gham ka tasallut
mayus na ho aur koi dam hai meri jaan
ye teri tawajjoh ka hai ejaz ki mujh se
har shaKHs tere shahr ka barham hai meri jaan
ai nuzhat-e-mahtab tera gham hai meri zist
ai nazish-e-KHurshid tera gham hai meri jaan
(1865) Peoples Rate This