Wo UTThe Hain Tewar Badalte Hue
wo uTThe hain tewar badalte hue
chalo dekhen talwar chalte hue
na dekha tere daur mein ai falak
nihaal-e-tamanna ko phalte hue
hain angusht-hairat-ba-dandan masih
wo murde jilate hain chalte hue
chalo mai-kada mahfil-e-waz se
ye ammame dekho uchhalte hue
zaban par tera nam jab aa gaya
to girte ko dekha sambhalte hue
mohabbat mein pae har ek rah se
hazaron hi raste nikalte hue
hain kya un ki zulfen ye ai dil na puchh
chhalawe ko dekha hai chhalte hue
bane juzw-e-tan jab chubhe KHar-e-gham
ye kanTe na dekhe nikalte hue
kiya kuchh na jab tak raha iKHtiyar
jahan se chale hath malte hue
gham-e-ishq paida hua mere sath
use guzri ek umr palte hue
ruke kis tarah tegh-e-abru ka war
suna hai ajal ko bhi Talte hue
in aaankhon ke fitnon ka kya puchhna
ye jadu hain lakhon mein chalte hue
nahin shama-e-ariz pe KHat jama hain
hazaron hi parwane jalte hue
fasane hain mashhur ushshaq ke
kaTi umr furqat mein jalte hue
jawan marte dekhe bahut na-murad
suna hoga arman nikalte hue
nahin khel chalna rah-e-ishq mein
zara panw rakhna sambhalte hue
jo mashhur sabit qadam the 'habib'
unhen hum ne dekha phisalte hue
(904) Peoples Rate This