Sharab Pi Jaan Tan Mein Aai Alam Se Tha Dil Kabab Kaisa

sharab pi jaan tan mein aai alam se tha dil kabab kaisa

gale se lag jao aao sahab kahan ka parda hijab kaisa

ab aao bhi har taraf takalluf naqab kaisi kahan ka parda

jhukae kyun sar ho sharm se tum ayan hai ruKH se hijab kaisa

baDha jo main rakh ke uzr-e-masti kaha ye hans kar chaDha ke tewri

haTo zara hosh mein raho ji sambhaalo dil iztirab kaisa

tumhein mubarak ho jo liya hai bhula do jo hum ko de diya hai

jo ho gaya us ka zikr kya hai ye doston mein hisab kaisa

bahaar ke din hain kya maza hai sharab ka daur chal raha hai

laga hai sabza chaman khula hai baras raha hai sahab kaisa

main rashk-e-majnun hun dekh idhar tu na la saba gulsitan ki KHushbu

ghubar ki hai dimagh ko KHu kahan ka itr aur gulab kaisa

wo chashm karti hai said aahu hain itne tir-e-mizha taraazu

pukar hogi ye kal ko har su karih hai mushk-e-nab kaisa

kabhi wo masti mein rang lae kabhi kiya shad muskurae

ajab tarah ke maze uThae visal ki shab mein KHwab kaisa

na mel kar saqiya yunhi de pasand mujh ko nahin koi shai

jigar pe charka lage piyape kahan ka pani gulab kaisa

nahin hai dozaKH ka dil ko kuchh gham meri bhi sun naseha zara tham

rahim wo pur-gunah hain hum azab kaisa sawab kaisa

jo roz hai ruKH to zulf hai shab zaqan hai manind chah-e-naKHshab

ye haal hai bachpane mein yarab to hoga ahd-e-shabab kaisa

ye daur hai chashm-e-surma-gun ka falak hai ek qatra bahr-e-KHun ka

jahan mein rang hai fusun ka hai mast har shaiKH-o-shabab kaisa

'habib' hain band kaam tere kahan hain shah-e-anam tere

nahin pahunchte imam tere hai banda-e-bu-turab kaisa

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharab Pi Jaan Tan Mein Aai Alam Se Tha Dil Kabab Kaisa In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Sharab Pi Jaan Tan Mein Aai Alam Se Tha Dil Kabab Kaisa is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Sharab Pi Jaan Tan Mein Aai Alam Se Tha Dil Kabab Kaisa for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Sharab Pi Jaan Tan Mein Aai Alam Se Tha Dil Kabab Kaisa in PDF.