Sab Mein Hun Phir Kisi Se Sarokar Bhi Nahin
sab mein hun phir kisi se sarokar bhi nahin
ghafil agar nahin hun to hoshyar bhi nahin
qimat agar wo dete hain takrar bhi nahin
kuchh hum ko dil ke dene mein inkar bhi nahin
nisbat hai jism o ruh ki allah-re ittihad
subha agar nahin hai to zunnar bhi nahin
baiTha hun us ki yaad mein bhula hun ghair ko
zahid agar nahin hun riya-kar bhi nahin
jaen wo qatl-e-ghair ko hum rashk se maren
aisi to apni jaan se bezar bhi nahin
aana ho aao warna ye kah do na aaenge
sun lo ye do hi baaten hain tumar bhi nahin
sauda tamam ho gaya bazar uTh gaya
wo dil bhi ab nahin wo KHaridar bhi nahin
tarz-e-jafa bhi bhul gai kya wafa ke sath
dil-dar gar nahin ho dil-azar bhi nahin
lenge hazar dar se palaT kar dar-e-murad
munim na den to kya teri sarkar bhi nahin
bhejenge hasb-e-haal unhen go na likh saken
kya daman aur dida-e-KHun-bar bhi nahin
bulbul chaman ko dekh KHizan ke sitam ko dekh
gul ka to zikr kya hai kahin KHar bhi nahin
aazad hain sharab ke aadi nahin 'habib'
ahbab gar pilaen to inkar bhi nahin
(802) Peoples Rate This