Mehr-o-ulfat Se Maal-e-tahzib
mehr-o-ulfat se maal-e-tahzib
KHaksari hai kamal-e-tahzib
hai wo aaraish-e-husn-e-baatin
jis ko kahte hain jamal-e-tahzib
kam nahin mardumak-e-chashm se kuchh
ruKH-e-insan pe KHal-e-tahzib
aaj-kal hum mein agar sach puchho
shakl anqa hai misal-e-tahzib
kabhi hota nahin bad-waza ka KHauf
hai ajab jah-o-jalal-e-tahzib
ruKH pe karta hai matanat paida
dil mein aate hi KHayal-e-tahzib
apne matlab ka jahan kuchh ho lagaw
nahin rahta hai KHayal-e-tahzib
qaum ka apne na ghaTta wo uruj
ho na jata jo zawal-e-tahzib
jam-e-jam se hai kahin pur-tamkin
bazm-e-KHullat mein sifal-e-tahzib
us ka KHun karte hain jo nahaq-kosh
un ki gardan pe wabaal-e-tahzib
murda qaumon ke liye aab-e-hayat
banta jata hai zulal-e-tahzib
badr ban jaega chande mein 'habib'
haq ne chaha to hilal-e-tahzib
(912) Peoples Rate This