Koi Baat Aisi Aaj Ai Meri Gul-ruKHsar Ban Jae
koi baat aisi aaj ai meri gul-ruKHsar ban jae
ki bulbul baaton baaton mein dam-e-guftar ban jae
ayan ho jazb-e-shauq aisa hasin aaen ziyarat ko
meri turbat ka mela misr ka bazar ban jae
mere hansne pe wo kahte hain aisa bhi na ho be-KHud
ki koi aadmi se qahqaha diwar ban jae
tajjub kuchh nahin hai gar wafur-e-soz-e-furqat se
mera har mu-e-tan minqar-e-mausiqar ban jae
Tahalte gar chale aaen wo daghon ke tamashe ko
abhi sarw-e-charaghan mera jism-e-zar ban jae
barahman shaiKH ko kar de nigah-e-naz us but ki
gulu-e-zohd mein tar-e-nazar zunnar ban jae
agar ghar se ba-qasd-e-sair nikle wo kaman-abru
to bahr-e-tair-e-dil har mizha sufar ban jae
tabassum kar tamasha dekh ke wahshat ka phir zalim
mera chaak-e-gareban zaKHm-e-daman-dar ban jae
yunhi hans hans ke tum aashiq ka rona dekhte jao
ki har tar-e-nazar ek motiyon ka haar ban jae
baDhao manzilat tegh ada ki tund-KHui se
munasib hai jo ye shamshir jauhar-dar ban jae
agar aaina-e-dil saf ho husn-e-tawajjoh se
har ek aankhon ka parda parda-e-asrar ban jae
yahi hai KHun-baha chal kar zara kah do ishaare se
'habib-e-KHasta ka marqad pas-e-diwar ban jae
(847) Peoples Rate This