Jab Sham Hui Dil Ghabraya Log UTh Ke Barae Sair Chale
jab sham hui dil ghabraya log uTh ke barae sair chale
taftish-e-sanam ko su-e-haram hum jaan ke dil mein dair chale
go bahr-e-alam tufani hai har mauj adu-e-jaani hai
ab panw rukenge kya apne is dariya ko hum pair chale
ab kaam hamara yan kya hai ye aana jaana beja hai
jis waqt tumhaari sohbat mein hum hon aur hukm-e-ghair chale
hum samjhe the yan aaenge din thoDa hai rah jaenge
par dil ki hasrat dil mein rahi jab su-e-makan-e-ghair chale
go ranj-e-judai hai dil par be-waqt hai ye daur-e-saghar
baiThe hain 'habib' ahbab magar ab tum bhi kah do KHair chale
(824) Peoples Rate This