Hue KHalq Jab Se Jahan Mein Hum Hawas-e-nazara-e-yar Hai
hue KHalq jab se jahan mein hum hawas-e-nazara-e-yar hai
Thahar ai ajal ki wo aaenge dam-e-wapsin ka qarar hai
rahen mahw kyun na har ek dam ki nazar mein jalwa-e-yar hai
dil-e-muntazir hai jo aaina to KHayal aaina-dar hai
ye KHata-e-ishq ki di saza ki mizha se mardum-e-chashm ne
mera dil dikha ke ye kah diya ise lo ye qabil-e-dar hai
ye KHuda hi jaane wo kaun tha jo shahid-e-naz-o-ada hua
ki uDi hai KHak-e-rah-e-sanam to KHizan mein rang-e-bahaar hai
huin tark sari mohabbaten mere sar pe Dhai hain aafaten
yahi dil ke lene mein shart thi yahi mujh se qaul-o-qarar hai
ye junun ki dekhiye puKHtagi jo kabhi kisi ne na ho suni
mere pairahan ka jo tar hai wo har ek resha-e-KHar hai
koi dil ki nikli na aarzu hua ranj-o-gham se jigar lahu
phire KHak chhante ku-ba-ku na to sabr hai na qarar hai
pas-e-marg bhi hain wahi sitam hain jafaen ruh pe dam-ba-dam
idhar aate aate wo phir gae jo suna ki mera mazar hai
mere sine ko na hadaf karo tapish-e-jigar se Dare raho
par-e-murgh-e-tir na jal uThen ki lahu ba-rang-e-sharar hai
wo KHushi dikhai na charKH ne ki ewaz mein jis ke na gham diye
kabhi farsh-e-gul hai jo ek shab to mahinon bistar-e-KHar hai
jise dard-e-nala-o-ah hai jo shahid-e-tegh-e-nigah hai
shab-e-hijr us ki gawah hai wo 'habib'-e-sina-figar hai
(937) Peoples Rate This