Hai Nigahban RuKH Ka Khaal-ru-e-dost
hai nigahban ruKH ka KHal-ru-e-dost
hafiz-e-quran hua hindu-e-dost
hum na hon patthar ho hum pahlu-e-dost
aaina luTe bahaar-e-ru-e-dost
phir gai jab nargis-e-jadu-e-dost
sab musalman ho gae hindu-e-dost
bha gai hai dil ko aisi KHu-e-dost
aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost
hai KHayal-e-ariz-o-gesu-e-dost
gah musalman hun kabhi hindu-e-dost
sau balaen aa gain ushshaq par
jab kamar tak aa gae gesu-e-dost
haDDiyan meri na khana ai huma
dant rakhte hain sagan-e-ku-e-dost
aag bhaDke kyun na pahlu mein mere
ghair hain wan aaj hum pahlu-e-dost
asl ye hai naql-e-mehrab-e-haram
sajda wajib hai tah-e-abru-e-dost
tegh-e-abru par kaTe lakhon gale
ban gaya ganj-e-shahidan ku-e-dost
dil hua maftun nigah-e-yar ka
sher-afgan hain magar aahu-e-dost
baad-e-murdan qabr mein aaThon pahar
aaega mujh ko KHayal-e-ru-e-dost
phir raha hai aaj putli ki tarah
meri aankhon mein qad-e-dil-ju-e-dost
hai KHayal-e-KHal-e-mushkin raat din
dil ko mere jaan lo mushku-e-dost
ab wahi sar hai ki Takraata hun main
wasl mein ye tha sar-e-zanu-e-dost
kya koi aafat abhi baqi hai aur
le chala hai dil mujhe phir su-e-dost
le uDi be-saKHta dil ko mere
aa gai jis dam hawa-e-ku-e-dost
rang-e-ulfat se miTa zang-e-dui
ho gai hai mujh mein paida bu-e-dost
ghairat-e-mansur hun main ai 'habib'
har ghaDi hun sarf-e-ha-o-hu-e-dost
(957) Peoples Rate This