Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc3d24bfe2e5cb316a49aaeaeb0a914d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras - Habeeb Musvi Poetry In English - Darsaal

Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

baad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras

aabiyari se teri ai tegh-e-yar ab ke baras

taKHta-e-gul hai hamara jism-e-zar ab ke baras

ta-ba-daman hai gareban tar tar ab ke baras

TuTte hain talwon mein chubh chubh ke KHar ab ke baras

hai ye zor-e-amad-e-fasl-e-bahaar ab ke baras

mast hain zahid bhi misl-e-baada-KHwar ab ke baras

ulfat-e-saqi ne lo zahid ko bhi khincha idhar

daur-e-mai ka subha par hoga shumar ab ke baras

fasl-e-gul mein baad-e-murdan bhi hua josh-e-junun

sang-e-tiflan se ho tarmim-e-mazar ab ke baras

shishe mein pinhan hai mai aur dil mein zauq-e-mai-kashi

aate hi saqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras

saqiya ainak chaDhe hon ranj-o-gham baala-e-taq

baada-e-di-sala ka shisha utar ab ke baras

zulm par bandhi hai phir sayyaad-o-gulchin ne kamar

qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

aarzu hai baad-e-murdan bhi rahun sairab-e-mai

sarf-e-jam-o-KHum karen mera ghubar ab ke baras

josh-e-KHun-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar

le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-KHar ab ke baras

julte hain dil bulbulon ke aashiyan ki tarah se

aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

qismat apni apni hai achchha mubarak ho 'habib'

KHar-e-gham hum ko tumhein pahlu-e-yar ab ke baras

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Dagh-e-dil Hain Ghairat-e-sad-lala-zar Ab Ke Baras in PDF.