Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua
aql par patthar paDe ulfat mein diwana hua
dil jo ek muddat se apna tha wo begana hua
kah gaya jo ji mein aaya aisa diwana hua
bund mein kam-zarf ka labrez paimana hua
sachchi baaton mein bhi hota hai qayamat ka asar
tazkira mera ajab dilchasp afsana hua
bad-numa samjha gaya paiwand-e-istighna-o-hirs
nang dalq-e-faqr-e-kashkol-e-gadayana hua
rang-e-KHullat se dil-e-shaida muraqqa ban gaya
ye KHuda ka ghar bhi is surat se but-KHana hua
muKHrib-e-buniyaad-e-asaish hai raftar-e-jahan
bastiyan ujDin kabhi aabaad virana hua
jaan hai mol us ka ai ishq-e-jawani jaan le
naqd husn-e-yusuf-sani ka baiana hua
tira-baKHti ki bala se yun nikalna chahiye
jis tarah suljha ke zulfon ko alag shana hua
jazb-e-dil ye hai ise kahte hain baatin ki kashish
un ke partaw se munawwar mera kashana hua
kya shikayat us ki sahab apna apna rang hai
ghair hain hum tum se jab ghairon se yarana hua
mil gae donon mein thi jalne ki quwwat ek san
mail-e-jinsiyyat se juzw-e-shama parwana hua
us ki shan-e-alam-arai pe ki jis dam nazar
gosha-e-uzlat mera darbar-e-shahana hua
qalib-e-KHaki mein saqi tu ne phunki hai ye ruh
qulqul-e-mina se paida shor-e-mastana hua
KHub hi rang-e-jawani sheb ne khoya 'habib'
mahw dil se bhi KHayal-e-ru-e-jaanana hua
(953) Peoples Rate This