Awwal Awwal Jis Ne Hum Ko Bheje The Paigham Bahut

awwal awwal jis ne hum ko bheje the paigham bahut

aaKHir aaKHir hae usi ne kar Dala badnam bahut

pael chhanke bhi to kaise naghme barsen bhi to kyun

tum bhi ho masruf udhar aur mujh ko bhi hain kaam bahut

chor-nagar mein qatil sare sina tane phirte hain

hum aise sada-lauhon par aae hain ilzam bahut

mana tujh ko taj-mahal ka model achchha lagta hai

lekin ye bhi kaise le dun us ke bhi hain dam bahut

chubhne lagti hai phulon ki narmi bhi to kabhi kabhi

kanTon mein bhi 'kaifi'-sahab milta hai aaram bahut

(839) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Awwal Awwal Jis Ne Hum Ko Bheje The Paigham Bahut In English By Famous Poet Habeeb Kaifi. Awwal Awwal Jis Ne Hum Ko Bheje The Paigham Bahut is written by Habeeb Kaifi. Read famous Poem Awwal Awwal Jis Ne Hum Ko Bheje The Paigham Bahut for youth and Student by Habeeb Kaifi. Free Download Awwal Awwal Jis Ne Hum Ko Bheje The Paigham Bahut in PDF.