Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad
dil-e-tanha mein ab ehsas-e-mahrumi nahin shayad
teri duri bhi ab dil ke liye duri nahin shayad
jahan din mein andhera ho wahan raaton ka kya kahna
yahan ke chand suraj mein chamak hoti nahin shayad
main jab bistar se uThta hun to yun mahsus hota hai
mere andar ki duniya raat bhar soti nahin shayad
ye kis sahra ke kis goshe mein KHema tan baiThe hain
kisi bhi samt koi rahguzar jati nahin shayad
hum apni zindagi ki dhup mein tapne ke aadi hain
hamein ThanDi hawa barson se ras aati nahin shayad
'habib' is zindagi ke pech-o-KHam se hum bhi nalan hain
hamein jhuTe naginon ki chamak bhati nahin shayad
(718) Peoples Rate This