Ye Kaif Kaif-e-mohabbat Hai Koi Kya Jaane
ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane
chhalak rahe hain nigahon mein dil ke paimane
kahaniyon hi pe buniyaad hai haqiqat ki
haqiqaton hi se paida hue hain afsane
na ab wo aatish-e-namrud hai na shoala-e-tur
teri nigah ko kya ho gaya KHuda jaane
hazar teri mohabbat ne rahnumai ki
guzar sake na maqam-e-junun se diwane
unhi ko hasil-e-yak-shahr-e-arzu kahiye
meri nigah mein aabaad hain jo virane
tujhe KHabar bhi hai is daur-e-KHasta-haali mein
KHud ahl-e-dil hain mazaq-e-wafa se begane
junun fareb-e-KHirad hai KHirad fareb-e-nazar
mujhe kahin ka na rakkha meri tamanna ne
(768) Peoples Rate This