Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e226db014beba821589c0a74c8ec7be1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha - Habeeb Ashar Dehlavi Poetry In English - Darsaal

Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha

dil ke hathon kahin duniya mein guzara na raha

hum kisi ke na rahe koi hamara na raha

sabr ai dil ki ye haalat nahin dekhi jati

Thahar ai dard ki ab zabt ka yara na raha

yun to ab bhi hai wahi ranj wahi mahrumi

wo jo ek teri taraf se tha ishaara na raha

aur to kya tha unhen apna samajhne ke siwa

wo bhi ab ishq ki ghairat ko gawara na raha

chhin gai aaKHiri ummid bhi dil se 'ashar'

ye sahaara hai ki ab koi sahaara na raha

(576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha In English By Famous Poet Habeeb Ashar Dehlavi. Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha is written by Habeeb Ashar Dehlavi. Read famous Poem Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha for youth and Student by Habeeb Ashar Dehlavi. Free Download Dil Ke Hathon Kahin Duniya Mein Guzara Na Raha in PDF.