Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain
wo dard-e-ishq jis ko hasil-e-iman bhi kahte hain
siyah-baKHton mein us ko gardish-e-dauran bhi kahte hain
jo aaghosh-e-haya mein ek dil-awez nashtar hai
isi mauj-e-nazar ko gulshan-e-KHandan bhi kahte hain
hijabaat-e-nazar jalwon ki bebaki se kya uTThen
mohabbat ki nazar ko dida-e-hairan bhi kahte hain
na khulwaen zaban achchha yahi hai hazrat-e-zahid
ki is tark-e-talab ko hasrat-e-isyan bhi kahte hain
kisi ke waste sarmaya-e-duniya-o-din Thahren
wahi nazren jinhen ghaarat-gar-e-iman bhi kahte hain
jo dil mamura-e-sad-hasrat-o-yas-o-tamanna hai
tajjub hai usi ko KHana-e-viran bhi kahte hain
ghalat-andaz si nazren tabassum be-niyazana
taghaful-keshiyon ko dawat-e-arman bhi kahte hain
jahan-e-ab-o-gil ko jis ne zauq-e-zindagi baKHsha
use ai hazrat-e-naseh dil-e-nadan bhi kahte hain
hai jis ke dam se duniya-e-mohabbat jannat-e-arman
usi jaan-e-tarab ko fitna-e-dauran bhi kahte hain
(918) Peoples Rate This