Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin
mujh ko dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan nahin
ek aatish-e-KHamosh hun jis mein dhuan nahin
kis sadgi se kahte ho hum raaz-dan nahin
wo kaun sa hai raaz jo tum par ayan nahin
wo dushman-e-sukun-e-dil-o-jaan yahi na ho
masum si nigah ki jis par guman nahin
hai aag si lagi hui rag rag mein kya kahun
ek chashm-e-intizar hi yan KHun-chakan nahin
yun dekhta hun barq ko allah re be-dili
jaise kahin chaman mein mera aashiyan nahin
is chashm-e-naz ki koi dekhe fusun-gari
bar-e-hayat bhi mujhe ab to garan nahin
ai mast-e-naz mashq-e-sitam is se bhi siwa
ai zauq-e-dard haif agar jawedan nahin
ai dil sar-e-niyaz ko kya qaid-e-sang-o-dar
kaba hi kya bura hai jo wo aastan nahin
ki fursat-e-hayat teri justuju mein sirf
ai wae gar hunuz-e-wafa ka guman nahin
(1236) Peoples Rate This