Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage
kuchh bhi dushwar nahin azm-e-jawan ke aage
aashiyan bante gae barq-e-tapan ke aage
zindagi naghma-e-dil-kash hai magar ai nadan
tu ne sikha hi nahin aah-o-fughan ke aage
qissa-e-bazm-e-tarab tazkira-e-mausam-e-gul
KHub hain yun to magar soKHta-jaan ke aage
hum hain aur fasl-e-KHizan fasl-e-KHizan hai aur hum
hum se kya puchhte ho fasl-e-KHizan ke aage
dastaras aql ki hai sarhad-e-idrak sahi
manzilen aur bhi hain wahm-o-guman ke aage
zahmat-e-yak-nigah-e-lutf kabhi to ai dost
hum ko kahna hai bahut lafz-o-bayan ke aage
yun to dozaKH mein bhi hangame bapa hain lekin
phike phike se hain aashob-e-jahan ke aage
(819) Peoples Rate This