KHizan-nasib Ki Hasrat Ba-ru-e-kar Na Ho
KHizan-nasib ki hasrat ba-ru-e-kar na ho
bahaar shoabada-e-chashm-e-intizar na ho
fareb-KHurda-e-ulfat se puchhiye kya hai
wo ek ahd-e-mohabbat ki ustuwar na ho
nazar ko tab-e-nazara na dil ko jurat-e-did
jamal-e-yar se yun koi sharmsar na ho
qaba-darida-o-daman-o-astin KHunin
gulon ke bhes mein ye koi dil-figar na ho
na ho sakega wo ram-ashna-e-kaif-o-hayat
jo qalb chashm-e-taghaful ka raazdar na ho
tariq-e-ishq pe hansti to hai KHirad lekin
ye gumrahi kahin manzil se ham-kanar na ho
na tana-zan ho koi ahl-e-hosh maston par
ki zoam-e-hosh bhi ek aalam-e-KHumar na ho
wo kya batae ki kya shai umid hoti hai
jise nasib kabhi sham-e-intizar na ho
ye chashm-e-lutf mubarak magar dil-e-nadan
payam-e-ishwa-e-rangin sala-e-dar na ho
kisi ke lab pe jo aae nawed-e-zist bane
wahi hadis-e-wafa jis pe eatibar na ho
jo do-jahan bhi mange to main ne kya manga
wo kya talab jo ba-qadr-e-ata-e-yar na ho
(871) Peoples Rate This