Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi
aur ai chashm-e-tarab baada-e-gulfam abhi
dil hai be-gana-e-andesha-e-anjam abhi
baada-o-saqi-o-mutrib ka na lo nam abhi
gard-alud hai aaina-e-ayyam abhi
dil hai majruh par-o-baal shikasta hamdam
dam se chhuT ke bhi hun main tah-e-dam abhi
mani-o-maqsad-e-hasti ka samajhna malum
aql hai sirf parastari-e-auham abhi
ishrat-e-jalwa-e-be-bak mubarak ai ishq
dida-o-dil hain magar tishna-e-paigham abhi
gham nahin sab pe agar chashm-e-karam hai teri
gham to ye hai ki sitam bhi hai tera aam abhi
ai subuk-sair-e-nazar ek payam-e-rangin
hai harif-e-gham-e-dil gardish-e-ayyam abhi
dawat-e-shauq ba-unwan-e-sitam bhi to nahin
us pe ilzam ki hai jazba-e-dil KHam abhi
tu ne kya chiz bana di nigah-e-sehr-taraaz
wo jo thi shisha-e-dil mein mai-e-be-nam abhi
zindagi manzil-e-maqsud se aagah nahin
us ki mearaj hai parwaz sar-e-baam abhi
kis ko ye hosh ki paigham-e-mohabbat samjhe
dil hai warafta-e-rangini-e-paigham abhi
(1037) Peoples Rate This