KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye
KHush-nazar hai na KHush-KHayal hai ye
aaj ke dida-war ka haal hai ye
tum mere dil mein kyun nahin aate
shahr-e-ranai-e-jamal hai ye
mere chehre pe kuchh nahin tahrir
sirf unwan-e-arz-e-haal hai ye
wajh-e-nakaami-e-wafa kya hai
aap se aaKHiri sawal hai ye
chahte bhi hain chahte bhi nahin
dosti ki nai misal hai ye
kaise sulghenge kakul-e-dauran
kitna uljha hua sawal hai ye
kaun jaane uruj kya hoga
aadmi ka agar zawal hai ye
DhunDhta hai nai nai uftad
dil-e-iza-talab ka haal hai ye
is zamane mein pak-damani
amr mumkin nahin muhaal hai ye
ab koi aankh nam nahin hoti
dil ki duniya mein KHushk sal hai ye
(709) Peoples Rate This