Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai

umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai

wo aate aate kai raste badalta hai

abhi to sham hai tanqid kar na rindon par

suna hai raat gae mai-kada sambhalta hai

na koi KHauf na andesha aur na raKHt-e-safar

ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai

hamare waste jis ja pe hadd-e-fasil hai

wahin se ek naya rasta nikalta hai

ajib chiz hai ye karb-e-KHud-kalami bhi

jo baat kije to ek silsila nikalta hai

na jaane kitne sar-e-pur-ghurur kaTte hain

ajib shaKHs hai talwar ban ke chalta hai

'habab' shikwa baja lao naqd-e-jaan ke tufail

tumhaare nam ka sikka yahan bhi chalta hai

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai In English By Famous Poet Habab Hashmi. Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai is written by Habab Hashmi. Read famous Poem Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai for youth and Student by Habab Hashmi. Free Download Umid-o-bim Ke Aalam Mein Dil Dahalta Hai in PDF.