Ab Talak Tund Hawaon Ka Asar Baqi Hai
ab talak tund hawaon ka asar baqi hai
ek charagh aur sar-e-rahguzar baqi hai
wo hamari nahin sunta to gila hai kaisa
ab kahan apni duaon mein asar baqi hai
dil mein baqi hain faqat chand lahu ke qatre
ab mere pas yahi zad-e-safar baqi hai
phir bana lenge usi ja pe nasheman apna
aashiyan jis pe tha wo shaKH-e-shajar baqi hai
masiyat ashk nadamat se bhi dhul jati hai
mutmain hun ki abhi dida-e-tar baqi hai
jab wo chahe mujhe do-nim kare aa ke 'habab'
dast-e-qatil mein yahi ek hunar baqi hai
(652) Peoples Rate This