Phirta Hun Main GhaTi GhaTi Sahra Sahra Tanha Tanha

phirta hun main ghaTi ghaTi sahra sahra tanha tanha

baadal ka aawara TukDa khoya khoya tanha tanha

pachchhim des ke farzanon ne nisf jahan se shahr basae

in mein pir buzurg arastu baiTha rahta tanha tanha

kitna bhiD-bhaDakka jag mein kitna shor-sharaba lekin

basti basti kucha kucha chappa chappa tanha tanha

sair karo baatin mein us ke kaisa kaisa kumbh laga hai

tak raha hai dur ufuq ko jo bechaara tanha tanha

sair tamasha rukne wale sayyaho ye bhi socha hai

ghaDiyan ghar ko Dhaalne wala KHud hai kitna tanha tanha

koi na us ka mal KHaride koi na us ki jaanib dekhe

ab banjara ghum raha hai qarya qarya tanha tanha

dhum machi hai chhuT rahe hain shahr mein rangon ke fawware

bich mein ek qasbaati laDka sahma sahma tanha tanha

dharti aur ambar par donon kya ranai banT rahe the

phul khila tha tanha tanha chand uga tha tanha tanha

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phirta Hun Main GhaTi GhaTi Sahra Sahra Tanha Tanha In English By Famous Poet Gyan Chand. Phirta Hun Main GhaTi GhaTi Sahra Sahra Tanha Tanha is written by Gyan Chand. Read famous Poem Phirta Hun Main GhaTi GhaTi Sahra Sahra Tanha Tanha for youth and Student by Gyan Chand. Free Download Phirta Hun Main GhaTi GhaTi Sahra Sahra Tanha Tanha in PDF.