Kya Bataen Aap Se Kya Hasti-e-insan Hai

kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

aadmi jazbaat o ehsasat ka tufan hai

ishtirakiyyat mera din aur mera iman hai

kash motor le sakun main ye mera arman hai

aah us danish-kade mein kis qadar hai qaht-e-husn

jab se aaya hun yahan bazm-e-nazar viran hai

ye kitaben har taraf hon ya butan-e-muntaKHab

barguzida hastiyon ka ek hi arman hai

fikr ki duniya mein columbus bana phirta hun main

ilm ki pahnai ka kitna baDa faizan hai

aaj america mein kal london mein parson rus mein

aadmi ki sar-bulandi ki yahi pahchan hai

is qadar khae hain yaron ke bichhaD jaane ke dagh

dil nahin ab ek KHakistar-shuda shamshan hai

jaise jaise baDh raha hai mera ohda doston

waise waise ruh meri aur bhi viran hai

laDkhaData Thokaren khata kidhar jata hun main

hai andhera ghup faza aur dil mera sunsan hai

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Bataen Aap Se Kya Hasti-e-insan Hai In English By Famous Poet Gyan Chand. Kya Bataen Aap Se Kya Hasti-e-insan Hai is written by Gyan Chand. Read famous Poem Kya Bataen Aap Se Kya Hasti-e-insan Hai for youth and Student by Gyan Chand. Free Download Kya Bataen Aap Se Kya Hasti-e-insan Hai in PDF.