Hua Kare Jo Andhera Bahut Ghanera Hai
hua kare jo andhera bahut ghanera hai
kisi ki zulf tale har samay sawera hai
hikayat-e-lab-o-ruKHsar mein guzar den waqt
jahan mein sirf ghaDi do ghaDi basera hai
jalao ghar ki munDeron pe chashm-o-dil ke diye
bahao git birah ke bahut andhera hai
wo mohtasib ho ki shahna ki mufti-o-qazi
hamara koi nahin hai har ek tera hai
mere dimagh ke KHannas ne pasand kiya
khanDar ke haft-balaon ka jis mein Dera hai
main barg-e-zard hun shayan-e-iltifat nahin
hasin gul ko hasin titliyon ne ghera hai
(1067) Peoples Rate This